kisi makan ke dariche ko wa to hona tha mujhe kisi na kisi din sada to hona tha jise khamida saron se mile qad-o-qamat use kisi na kisi din khuda to hona tha main jaanta tha jabinon pe bal padenge magar qalam ka qarz tha aakhir ada to hona tha ye kya zarur pata puchhte phiren us ka mila hi yun tha wo jaise juda to hona tha wo pichhli raat ki khushbu rachi rachi si faza sahar qarib thi waqf-e-dua to hona tha hum ek jaan hi sahi dil to apne apne the kahin kahin se fasana juda to hona tha main aaina tha chhupata kisi ko kya rahat wo dekhta mujhe jab bhi khafa to hona tha