kisi manzar mein tujh bin dilkashi pai nahin jati
By nafeesa-sultana-anaJanuary 22, 2022
kisi manzar mein tujh bin dilkashi pai nahin jati
ki mahfil mein bhi rah kar meri tanhai nahin jati
juda sab se wo hote hain mohabbat jin ko hoti hai
ye har insan ke dil mein kabhi pai nahin jati
ghamon ko bant len ek din chale aao qarar aae
tabiat apni tanha hum se bahlai nahin jati
khuda se rabt hai jin ka mohabbat kaam hai un ka
sifat us ki siyah-karon mein to pai nahin jati
'ana' meri zarurat wo 'ana' meri mohabbat wo
ba-juz is ke meri jaan mein to jaan pai nahin jati

95682 viewsghazal • English