kisi maqam se guzre nahin phisalta hai
By aalam-nizamiJanuary 18, 2024
kisi maqam se guzre nahin phisalta hai
jo haq-paraston ke naqsh-e-qadam pe chalta hai
suna hai karne laga hai wo raushni taqsim
mere charagh se jis ka charagh jalta hai
faza-e-zist pe chhai hui hai tariki
bahut dinon se ye manzar nahin badalta hai
bisat itni kahan hai jo chheden suraj ko
in aandhiyon ka diyon par hi zor chalta hai
tumhaare zulm pe chup hun ye zarf hai mera
ubalne ko to mera bhi lahu ubalta hai
hamein na kijiye majbur hijraton ke liye
darakht apna thikana nahin badalta hai
khuda hi hami-o-nasir hai us ka ai 'alam'
jo kha ke barha thokar nahin sanbhalta hai

94557 viewsghazal • English