kisi miskin ka ghar khulta hai ya koi zakhm-e-nazar khulta hai dekhna hai ki tilism-e-hasti kis se khulta hai agar khulta hai daw par dair-o-haram donon hain dekhiye kaun sa ghar khulta hai phul dekha hai ki dekha hai chaman husn se husn-e-nazar khulta hai mai-kashon ka ye tulua aur ghurub mai-kada sham-o-sahar khulta hai chhoti padti hai ana ki chadar panw dhakta hun to sar khulta hai band kar leta hun aankhen 'tabish' bab-e-nazzara magar khulta hai