kisi ne ek jafa-e-karam-numa kar ke dubo diya mujhe sahil se aashna kar ke ghubar-e-rah ko maghrur-e-irtiqa kar ke gaya hai kaun zamin ko falak-numa kar ke umid-e-jashn-e-charaghan bhi chhin gai hum se kahin ke hum na rahe barq ko khafa kar ke ye waqt hai ki jafaon ko marhaba kahiye hamesha kaam nikalta nahin gila kar ke bade saliqe se badnam kar diya tum ko hamara zikr raqibon ne ja-ba-ja kar ke azan-e-subh se tuta ghamon ka sannata guzar gai shab-e-hijran khuda khuda kar ke mere rafiq ye tahsin-e-na-shanas kahin tujhe na chhod de aawara-e-ana kar ke shurua kab ho na jaane nazakaton ka safar main dil ko baitha hun shayan-e-naqsh-e-pa kar ke tum un se karte ho kya zikr-e-zindagi 'jauhar' jo sans rok len andesha-e-fana kar ke