kisi ne pahle shikayat ki intiha kar di

By ahmad-kamal-hashmiMay 24, 2024
kisi ne pahle shikayat ki intiha kar di
phir us ke ba'd mohabbat ki intiha kar di
tumhaare bare mein jab sochne main baitha to
dimagh-o-dil ne 'adawat ki intiha kar di


main apne aap ko taqsim kar ke lauta hun
lo aaj main ne sakhawat ki intiha kar di
wo saj sanwar ke kuchh itna hasin lagne laga
ki aainon ne bhi hairat ki intiha kar di


hawa chali to lawen sab ne tez-tar kar lin
diyon ne ab ke jasarat ki intiha kar di
sakhawaton ke ghalat faede uthae gae
zaruraton ne zarurat ki intiha kar di


main us ke wa'de pe phir e'tibar kar baitha
'kamal' main ne himaqat ki intiha kar di
82403 viewsghazalEnglish