kisi parde mein koi jalwa-gar hoga to kya hoga

By raft-bahraichiJanuary 4, 2024
kisi parde mein koi jalwa-gar hoga to kya hoga
tahayyur mein jo gham zauq-e-nazar hoga to kya hoga
mohabbat ka agar ulta asar hoga to kya hoga
nizam-e-zindagi zer-o-zabar hoga to kya hoga


dalil-e-'am jab hai zindagi mein inqalab aana
tu hi hamdam agar bedad-gar hoga to kya hoga
pata deti hai har manzil pe khud hi apni manzil ka
mohabbat mein na koi rahbar hoga to gaya hoga


mazaq-e-zauq-e-sajda na-mukammal rah nahin sakta
agar ma'dum un ka sang-e-dar hoga to kya hoga
musalsal badhti jati hai mohabbat ki tapish dil mein
bata dena zara ai chashm-e-tar hoga to kya hoga


mohabbat jabki fitrat hai to gham kis baat ka 'rafat'
bala se dard-e-dil dard-e-jigar hoga to kya hoga
20434 viewsghazalEnglish