kisi rahbar ki hai justuju kisi rahnuma ki talash hai jo sharik-e-mauj-e-hayat ho usi nakhuda ki talash hai na rukh-e-sanam ki hai aarzu na dar-e-khuda ki talash hai jo shuur-e-karb ata kare usi dilruba ki talash hai main jahan rukun main jahan rahun tera gham rahe mera ham-safar yahi muddaa meri zindagi isi muddaa ki talash hai badhi jab bhi yas ki tirgi huin gum nigah ki manzilen rah-e-zindagi jo dikha sake mujhe us ziya ki talash hai ye sukut-e-lab ye khamoshiyan meri kawishon ka sila nahin jo dilon ko soz-e-hayat de usi ham-nawa ki talash hai na haram mein mujh ko sukun mila na sanam-kade hi mein rahaten jahan zindagi ko yaqin mile mujhe aisi ja ki talash hai ye na jaane kaise hain peshwa sar-e-rah dube gunah mein jo chhupa le un ke uyub sab unhen us qaba ki talash hai