kisi se ai dil-e-nadan jo pyar karna hai
By rizwan-aliFebruary 28, 2024
kisi se ai dil-e-nadan jo pyar karna hai
to zabt ki tumhein har had ko par karna hai
kisi amir ki ulfat se kya milega mujhe
gharib hun to gharibon se pyar karna hai
har ek dil mein jala do mohabbaton ke charagh
watan ko apne agar pur-bahaar karna hai
amir-e-shahr banata hai roz mansube
kise zalil kise pur-waqar karna hai
tamam shahr ke dil mein basa de pyar mera
mere khuda jo mujhe tajdar karna hai
laga rahe ho jo pabandiyan mohabbat par
ye jurm hai to hamein bar bar karna hai
zaban se us ki ada ho jo baat ai 'rizwan'
durust ho ki ghalat e'tibar karna hai

44717 viewsghazal • English