kisi se KHafa main hua hi nahin

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
kisi se khafa main hua hi nahin
kabhi mujh ko ye haq mila hi nahin
rawan yunhi rahna hai mera nasib
bikhar jaun itni hawa hi nahin


kai bar guzra barabar se main
use mera dhoka hua hi nahin
jo duniya ne tai ki hai mere liye
kiye ki mere wo saza hi nahin


ruke hi kahan sans lene ko hum
jo us ne kaha wo suna hi nahin
52185 viewsghazalEnglish