kisi se khauf khate hain na dab kar baat karte hain sadaqat ke payambar jab bhi haq par baat karte hain nahin hai hausla jin mein haqiqat pesh karne ka na aate ru-ba-ru hain wo na khul kar baat karte hain bata dete hain ahwal-e-dil-o-raaz-e-nihan chehre khamoshi ho labon par lakh tewar baat karte hain nahin shewa hamara phir mukarne ka badalne ka jo dil mein hai zaban se hum wo khul kar baat karte hain sabab khud aap hi bante hain wo apni tabahi ka hasad ki aag mein jo log jal kar baat karte hain hamara hi jigar hai ye hamara hausla hai ye ho dil pe zakhm gahra bhi to hans kar baat karte hain