kisi subh ka tha manzar sabhi kaam ja rahe the
By sajid-raheemFebruary 28, 2024
kisi subh ka tha manzar sabhi kaam ja rahe the
bade shauq se parinde tah-e-dam ja rahe the
wo juda hua tha jis pal nahin bhulta wo manzar
main wahin khada hua tha dar-o-baam ja rahe the
mujhe kuchh bura nahin tha tera bazuon mein rahna
mere kaam the zaruri mere kaam ja rahe the
tere shauq ki hawa ne diye zindagi ko ma'ne
mere roz-o-shab to warna bade 'am ja rahe the
main jo baat sochta tha teri zat se judi thi
main jo harf likh raha tha tere nam ja rahe the

78996 viewsghazal • English