kisi surat kami hoti nahin soz-e-nihani mein meri duniya bahi jati hai ashkon ki rawani mein nawa-sanj-e-fughan ai baghban ye bulbulen kyon hain bahaar aai hai kaisi tere daur-e-baghbani mein khirad walo idhar aao yahan baitho mujhe dekho ki kaisa mutmain hun main junun ki hukmrani mein mera khun-e-tamanna khun-e-dil khun-e-wafa le kar jo rang-ameziyan chaho karo apni kahani mein tapish se dil ki lau dene lage aansu sar-e-mizhgan tamasha dekh lo aakar lagi hai aag pani mein abhi kuchh phiki phiki si hai rudad-e-gham-e-jaanan wo sun lenge to jaan aa jaegi puri kahani mein kahan ka husn kaisa ishq itna yaad hai mujh ko ki ek uljha hua sa khwab dekha tha jawani mein na jaane kyon mujhe wo apna diwana samajh baithe jab un ka nam tak aaya na tha meri kahani mein