kisi talab mein hua main na dar-ba-dar ab ke raha nigah ka mehwar bas apna ghar ab ke na jaane kitne hi raste the muntazir lekin simat ke rah gaya qadmon mein hi safar ab ke ye intizar ki shiddat na thi kabhi pahle muhit lagta hai sadiyon pe lamha bhar ab ke bahaar-e-lala-o-gul ke qaside khatm hue khizan ka marsiya padhta hai har shajar ab ke ye kaisa nasha musallat tha ab ke zehnon par tabahiyon se rahe sab hi be-khabar ab ke samar ki parwa kiye bin hi hum ne boya hai zamin-e-khwab pe ummid ka shajar ab ke ajib mausam-e-karb-o-bala hai gulshan mein rakha hai ghunchon ne kanton pe apna sar ab ke ghutan mein waqt ki barud ban gaya hun 'sukhan' na phunk de mujhe aa kar koi sharar ab ke