kisu ko mujh se ne mujh ko kisu se kaam rahta hai mere dil mein siwa tere khuda ka nam rahta hai kuchh in rozon dil apna sakht be-aram rahta hai isi haalat mein le kar subh se ta-sham rahta hai kaleja pak gaya hai kya kahun is dil ke hathon se hamesha kuchh na kuchh is mein khayal-e-kham rahta hai bayan main kya karun us se ab aage apni nakaami tere ye taur aur mujh ko tujhi se kaam rahta hai bala jaane 'asar' dauran ye kidhar charkh mare hai hamari bazm mein din raat daur-e-jam rahta hai