kitab jalti rahi sahib-e-kitab gaya

By qutub-sarsharOctober 25, 2023
kitab jalti rahi sahib-e-kitab gaya
'ajab sulagti si ta'bir de ke khwab gaya
'ajib jhut ki khushbu thi mast rahte the
guman ki shakh pe baqi jo tha gulab gaya


siyahiyon ka samundar hai ab to chaaron taraf
wo raushni ka safar muntazir sarab gaya
hayat jab bhi kisi imtihan se guzri hai
sawal karne jo aaya tha la-jawab gaya


tha zakhm dil ka magar khun-chakan huin aankhen
wo shakhs mar na saka khun be-hisab gaya
badan ki pyas to jismon ka qurb mange hai
tamiz-e-husn gai zauq-e-intikhab gaya


charagh din mein jalate ho kis liye 'sarshaar'
nazar ka nur gaya hai ki aaftab gaya
53413 viewsghazalEnglish