kitab kaun si hai aur kis zaban mein hai

kitab kaun si hai aur kis zaban mein hai
suna hai zikr hamara bhi dastan mein hai

usi ne dhup mein chalne ki jit li bazi
wo ek shakhs jo muddat se saeban mein hai

zamin ko jo bhi ugana hai wo ugaegi
mujhe pata hai mera rizq aasman mein hai

wo laut aae to apni bhi kuchh khabar dunga
mere lahu ka parinda abhi udan mein hai

use bhi chhod ki ab hausla nahin baqi
wo ek tir jo ab tak teri kaman mein hai

yahin kahin na kahin hai 'shamim'-faruqi
agar yaqin mein nahin hai to phir guman mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close