kitna hasin KHwab tha aankhon mein rah gaya

By ankit-mauryaFebruary 5, 2024
kitna hasin khwab tha aankhon mein rah gaya
wo chehra mahtab tha aankhon mein rah gaya
main jaise koi khar tha chubhne laga use
wo to koi gulab tha aankhon mein rah gaya


main ne to teri marzi se bola tha jhut par
jo asl mein jawab tha aankhon mein rah gaya
lauta diye hain us ne mere khat waghaira sab
baqi ka jo hisab tha aankhon mein rah gaya


achchha tha jo bhi film mein yun hi guzar gaya
wo scene jo kharab tha aankhon mein rah gaya
66530 viewsghazalEnglish