kitne sawal kitne jawabon ko oDh kar
By aatish-raza-senjpuriiDecember 30, 2023
kitne sawal kitne jawabon ko odh kar
sota hun main sukun se khwabon ko odh kar
sach-much main so gaya ki ye ghaflat ki nind thi
dariya ki chahaton mein sarabon ko odh kar
kanton ki thi chubhan jo mujhe nind aa gai
sote hain log kaise gulabon ko odh kar
gar maqsad-e-hayat samajh mein na aa saka
hasil hi kya ki soun kitabon ko odh kar
pale hue hain kitni ghalat-fahmiyon ka dard
dariyaon ko hai zo'm hababon ko odh kar
jab tajziya kiya to khasare hi hath aae
baitha hun zindagi ke hisabon ko odh kar
dar hai mu’afiyon ka khula mang lo 'raza'
tum bhi to dafn hoge turabon ko odh kar

60636 viewsghazal • English