kitne ujad gae hain chaman ku-e-yar mein kaisi hawaen ab ke chali hain bahaar mein duniya haqir jaan ke nazren na pher le thodi si lazmi hai ana inkisar mein zarron se aa rahi hai wafa-dariyon ki bu shayad mera lahu hai teri rahguzar mein ilzam aainon pe lagate ho kis liye chehra ata hua hai tumhaara ghubar mein mandu ki sarzamin ko samjho na be-samar tarikh ke gulab hain ujde dayar mein aankhon mein qaid karne ki koshish fuzul hai aansu nahin rahe hain mere ikhtiyar mein shayad ki kal zamin pe khilen amn ke gulab har pal guzar raha hai isi intizar mein 'sarwat' jahan-e-ilm mein kuchh kam-nasib log ab tak pade hue hain jahaalat ke ghaar mein