kitni be-nur thi din bhar nazar-e-parwana

kitni be-nur thi din bhar nazar-e-parwana
raat aai to hui hai sahar-e-parwana

shama jalte hi yahan hashr ka manzar hoga
phir koi pa na sakega khabar-e-parwana

bujh gai shama kati raat gai sab mahfil
ab akele hi katega safar-e-parwana

raat bhar bazm mein hangama hi hangama tha
sirf khamoshi hai ab nauha-gar-e-parwana

sari makhluq tamashe ke liye aai thi
kaun tha sikhne wala hunar-e-parwana

aasman surkh hai suraj bhi abhi duba hai
abhi raushan na karo rahguzar-e-parwana

na sahi jism magar khak to udti phirti
kash jalte na kabhi baal-o-par-e-parwana

shama kya chiz hai jalti to kahan tak jalti
abhi zinda hai dil-e-be-khatar-e-parwana

hae wo husn ki jis ka koi mushtaq nahin
hae wo shama ki hai be-khabar-e-parwana

jis tarah guzregi ye raat guzar jaegi
muddaton yaad rahega asar-e-parwana

ek hi jast mein tai ho gai manzil 'shahzad'
kitne aaram se guzra safar-e-parwana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close