kitni hasrat se teri aankh ka baadal barsa ye alag baat mera shola-e-gham bujh na saka tera paikar hai wo aaina ki jis ke dam se main ne sau rup mein khud apna sarapa dekha ek lamhe ke liye chand ki khwahish ki thi umr bhar sar pe mere qahr ka suraj chamka jab bhi ehsas-e-aman bais-e-taskin thahra an-ginat khatron ki aahat se dil apna dhadka main aziyyat ki guphaon mein karahun kab tak be-gunahi ki saza ke liye miad hai kya tira-o-tar khalaon mein bhatakta raha zehan raat sahra-e-ana se main hirasan guzra sehr-e-goyai ke kis dasht ka faizan hai ye har sukhan lab se tere surat-e-ahu nikla main ne jis shakh ko phulon se sajaya 'arif' mere sine mein usi shakh ka kanta utra