kitni suKHan ki mahfilen aabaad kar gaya

By wasim-nadirJanuary 5, 2024
kitni sukhan ki mahfilen aabaad kar gaya
khamoshiyon ke habs mein khud ghut ke mar gaya
aisa mila sukun chuka kar kisi ka qarz
maila libas jaise badan se utar gaya


chehre bana bana ke rakhe hain kitab mein
be-chehragi ke khauf se main kitna dar gaya
mujh ko sametne mein lagegi tamam 'umr
ek shakhs meri zat ke andar bikhar gaya


hum dekhte bhi kis ko teri rukhsati ke ba'd
gard-o-ghubar rah ka aankhon mein bhar gaya
tera khayal bhi kisi sone se kam nahin
jitna tapaya hijr ne utna nikhar gaya


86586 viewsghazalEnglish