kiwad band bhi hai aur nim-wa bhi hai wo rup anup zara khush zara khafa bhi hai sharik-e-rah-e-wafa gul-sarisht mah-ba-kaf qatil-e-gardish-e-dauran barahna-pa bhi hai haqiqaton se fasanon ko kya ilaqa hai khuda nahin bhi hai logo magar khuda bhi hai hujum-e-naghma-o-nikhat mein yun to hota hai khata muaf khata to nahin khata bhi hai wahi ghazal ki riwayat-e-kafiri hain abhi wahi hijab wahi shokhi-e-ada bhi hai ufuq ufuq abhi insan ki manzilen hain 'waqar' usi zamin pe magar rah-e-irtiqa bhi hai