kiya hai pyar jise humne zindagi ki tarah

By qateel-shifaiNovember 12, 2020
kiya hai pyar jise hum ne zindagi ki tarah
wo aashna bhi mila hum se ajnabi ki tarah
kise khabar thi badhegi kuchh aur tariki
chhupega wo kisi badli mein chandni ki tarah


badha ke pyas meri us ne hath chhod diya
wo kar raha tha murawwat bhi dil-lagi ki tarah
sitam to ye hai ki wo bhi na ban saka apna
qubul hum ne kiye jis ke gham khushi ki tarah


kabhi na socha tha hum ne 'qatil' us ke liye
karega hum pe sitam wo bhi har kisi ki tarah
80689 viewsghazalEnglish