koi baDh kar sitam mujh par sitam-ijad kya karta

By abida-karamatDecember 25, 2020
koi badh kar sitam mujh par sitam-ijad kya karta
basaya hi nahin jis ko use barbaad kya karta
sikhaya bolna us ko zaban-e-be-zabani se
agar lab khol leti main wo phir irshad kya karta


kahan qad napta mera bhala ye sher-e-kam-qamat
so mera sher bhi pa kar siyasi dad kya karta
nikal wo khud nahin pata shikanj-e-zat se apni
jo apni qaid mein khud ho mujhe aazad kya karta


jahan bazu rasan-basta jahan qadghan ho lafzon par
koi zanjir kya hilti koi fariyaad kya karta
agar fitrat ho simabi tabiat bhi ho sailani
dar-o-diwar kya rakhta wo ghar aabaad kya karta


rihai zulm se us ke mayassar aur mumkin thi
magar main ne yahi socha wo mere baad kya karta
48879 viewsghazalEnglish