koi baiTha raha shabab samet

By ikram-arfiJanuary 3, 2024
koi baitha raha shabab samet
aur main so gaya kitab samet
ye kaha tha tera jawab nahin
phir koi aa gaya jawab samet


main tere khali hath ke qurban
mujh se milna magar gulab samet
milne aaya hai koi jaan-e-ghazal
'mir' sahib ke intikhab samet


nind aati hai karwaten le kar
ranj ke sath iztirab samet
dub jaane mein koi harj nahin
dubna ho agar sharab samet


66609 viewsghazalEnglish