koi batae use ham-nashin kaise karen

By wasim-nadirJanuary 5, 2024
koi batae use ham-nashin kaise karen
jo aasman hai us ko zamin kaise karen
mohabbaton mein chhupi maslahat samajh jaen
hum apne aap ko itna zahin kaise karen


hamare gham ki ye jagir hum pe bojh nahin
baghair parkhe tumhein jaanashin kaise karen
lahu ka aakhiri qatra bhi un ko de aae
udhar sawal wahi hai yaqin kaise karen


guzar to jaegi har haal mein ye raat aakhir
baghair sham' ke lekin hasin kaise karen
60125 viewsghazalEnglish