koi bhi rasm ho sar par nahin uThate hum
By shakeel-azmiFebruary 29, 2024
koi bhi rasm ho sar par nahin uthate hum
namaz padhte hain topi nahin lagate hum
jo aab padta hai khud hi mein jazb karte hain
badan ko dhup mein rakh kar nahin sukhate hum
dukhon ko jite hain aur ji ke khalq karte hain
ab apni maut pe matam nahin manate hum
saza mili hai hamein raushni mein rahne ki
ki sote waqt bhi batti nahin bujhate hum
har ek rahguzar tirgi mein dubi hai
charagh ghar se nikal kar nahin jalate hum

93836 viewsghazal • English