koi bhi shakl ho ya nam koi yaad na tha
By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
koi bhi shakl ho ya nam koi yaad na tha
'ajib sham thi us sham koi yaad na tha
jinhen palatne ki fursat nahin rahi wo log
gharon se nikle the to kaam koi yaad na tha
sitara-e-safar apne bichhadne walon ko
pukarta raha go nam koi yaad na tha
teri gali hi nahin tere shahr tak ko bhi
hum aisa sahib-e-aram koi yaad na tha
mata’-e-umr hui kharch aur batate hue
na wo daricha na wo baam koi yaad na tha

67063 viewsghazal • English