koi chehra jo mere samne laya hai mujhe yahi har haal mein kya dekhta aaya hai mujhe sa'i ye thi kisi kandhe pe khada ho jaun bhag nikla hun ki har ek ne giraya hai mujhe na kabhi baat hui us se na pahchan kabhi hai magar koi yahan tak wahi laya hai mujhe muntazir jo bhi the ye kah ke lapak nikle hain ye jo aaya hai bulawa faqat aaya hai mujhe bahar aata hun to uthti hai mujhi par har aankh jaane kis khauf ne is ghar mein basaya hai mujhe ek hi lamhe mein sunta hun main do aawazen yaad ye kis ne kiya kis ne bulaya hai mujhe han ye sach hai ki ba-sad jabr main ghar lauta hun kis ne is haal mein lekin kahin paya hai mujhe 'talkh' main ne jo ladi jang ladi phir kis se apne kandhon pe sabhi ne to uthaya hai mujhe