koi dam un ko nigahon ka ishaara na mila zindagi bhar hamein jine ka sahaara na mila log kahte hain gulistan mein bahaar aai hai main ye kahta hun mujhe dard ka chaara na mila ham-nashin kyon na karen gardish-e-dauran ko salam hum sa koi hamein taqdir ka mara na mila tere jalwon ka bharam khol hi deta lekin chashm-e-bina to mili zauq-e-nazara na mila hum ne dekha to har ek zarre mein paya tum ko aur dhunda to kahin saya tumhaara na mila kya kahen zulf sanwari thi kisi ne hamdam raat gardun pe mujhe ek bhi tara na mila umr aakhir hui manjdhaar mein apni 'mukhtar' aaj tak bahr-e-mohabbat ka kinara na mila