koi darpesh jab safar aaya

By khalid-mahmood-amarNovember 3, 2020
koi darpesh jab safar aaya
tera chehra bhi baam par aaya
lag ke chilman se jhankna bahar
yaad wo adh-khula sa dar aaya


mere sayyaad ko bhi hairat hai
kyun na main bhi lahu mein tar aaya
dekh sare jahan ko thukra kar
tera diwana tere ghar aaya


tere dar se shifa mile sab ko
ek 'umar' hi shikasta-tar aaya
38726 viewsghazalEnglish