koi darwaze pe baiTha nahin dekha jata

By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
koi darwaze pe baitha nahin dekha jata
kya tere shahr mein rasta nahin dekha jata
ub jate hain tamashe se tamashai sab
phir bhi girta hua parda nahin dekha jata


yaad aa jata hai aakash se rishta apna
ghar ka tuta hua zina nahin dekha jata
dastaken dene ko ye hath tadap uthte hain
us ke darwaze pe tala nahin dekha jata


wo safar sirf janaze ka safar hota hai
jis mein apna ya paraya nahin dekha jata
aankh har shakhs ko taswir ka imla bole
ek hi shakhs ko itna nahin dekha jata


jo bhi dil mein hai wo kaghaz pe bana do yaro
aaj ke daur mein chehra nahin dekha jata
45985 viewsghazalEnglish