koi dekhe to zara kaisi saza deta hai

By rafiq-usmaniMay 5, 2021
koi dekhe to zara kaisi saza deta hai
mera dushman mujhe jine ki dua deta hai
hakim-e-waqt bhi haalat se aajiz aa kar
waqt ke samne sar apna jhuka deta hai


kya hua tu ne jo ghurbat mein chhudaya daman
aise haalat mein har koi dagha deta hai
lutf aata nahin ho kar bhi shikam-ser tumhein
hum gharibon ko to faqa bhi maza deta hai


dur aakash mein udta hua sukha patta
aane wale kisi tufan ka pata deta hai
hath phailaun kisi ghair ke aage kyun-kar
mujh ko har chiz bina mange khuda deta hai


jis ki aawaz ko sun kar main tadap jata hun
mere andar se mujhe kaun sada deta hai
koi manzil pe nahin chhodta le ja ke 'rafiq'
har koi dur se bas rah dikha deta hai


61596 viewsghazalEnglish