koi dil-lagi dil lagana nahin hai

By dattatriya-kaifiOctober 29, 2020
koi dil-lagi dil lagana nahin hai
qayamat hai ye dil ka aana nahin hai
manaen unhen wasl mein kis tarah hum
ye ruthe ka koi manana nahin hai


hai manzur unhen imtihan shauq-e-dil ka
nazakat ka khali bahana nahin hai
wafa par dagha sulh mein dushmani hai
bhalai ka hargiz zamana nahin hai


shab-e-gham bhi ho jaegi ek din aakhir
kabhi ek rawish par zamana nahin hai
hai ku-e-butan bas ghar us ka hi 'kaifi'
zamane mein jis ko thikana nahin hai


17160 viewsghazalEnglish