koi dukan na KHaridar dekh sakta hun

By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
koi dukan na kharidar dekh sakta hun
main sirf dur se bazar dekh sakta hun
kahan se aate hain kirdar dekh sakta hun
main ab kahani ke us par dekh sakta hun


abhi to dur hai aankhon se pyas ka parda
abhi main pani mein dastar dekh sakta hun
kisi nigah mein iqrar hai zamin wala
main ab sitaron ke us par dekh sakta hun


tere naqab se khair itni to suhulat hai
main teri samt lagatar dekh sakta hun
laga ke rakhta hun baisakhiyon mein aaine
main apne khwabon ki raftar dekh sakta hun


hakim khatre se bahar bata rahe hain mujhe
to kya main aaj ka akhbar dekh sakta hun
pada hun aap ki chaukhat pe is liye ki yahin
main apni taqat-e-didar dekh sakta hun


80363 viewsghazalEnglish