koi gardish mein hai kya dasht se ghar tak ab bhi
By ghulam-husain-sajidOctober 30, 2020
koi gardish mein hai kya dasht se ghar tak ab bhi
khak udti hai meri hadd-e-nazar tak ab bhi
le gai khinch ke shayad unhen mitti ki mahak
ud ke pahunche nahin kuchh phul shajar tak ab bhi
rizq ban jaenge kuchh der mein tariki ka
mahw-e-parwaz hain jo shams-o-qamar tak ab bhi
apni buniyaad pe qaem hain mere hosh-o-hawas
khun chadhta hai mere panw se sar tak ab bhi
jin ko pane ki tamanna hai azal se mere sath
hath pahuncha nahin un barg-o-samar tak ab bhi
khul nahin paya meri ruh pe sahra 'sajid'
yani mahdud hun main sair-o-safar tak ab bhi

33981 viewsghazal • English