koi hairat hai na is baat ka rona hai hamein

koi hairat hai na is baat ka rona hai hamein
khak se utthe hain so khak hi hona hai hamein

phir talluq ke bikharne ki shikayat kaisi
jab use kanch ke dhagon mein pirona hai hamein

ungliyon ki sabhi poron se lahu rista hai
apne daman ke ye kis dagh ko dhona hai hamein

phir utar aae hain palkon pe sisakte aansu
phir kisi sham ke aanchal ko bhigona hai hamein

ye jo aflak ki wusat mein liye phirti hai
is ana ne hi kisi roz dubona hai hamein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close