koi hansae to hans dun rulae ro lun main

By khalid-aligFebruary 27, 2024
koi hansae to hans dun rulae ro lun main
ye zindagi hai to phir is se hath dho lun main
main harf-harf raha hun salib-o-dar-ba-dosh
to phir jo tu ne kaha hai use bhi tolun mein


jinhen saliqa-e-izhaar-e-arzu hi nahin
wo log chahte ye hain zaban na kholun main
mere khuda ne mujhe bolna sikhaya hai
to phir jo harf-e-yaqin hai wo kyon na bolun main


sahar hui to yahan sakht ma'raka hoga
abhi to raat ka pahla pahar hai so lun main
ye qaum murda-parasti ke fan mein mahir hai
ye mujh ko roegi kal aaj is ko ro lun main


haram se dur hi kitna hai but-kada 'khalid'
ab aa gaya hun idhar to udhar bhi ho lun main
76599 viewsghazalEnglish