koi har maraz ki dawa banTta hai

By waliullah-waliNovember 24, 2020
koi har maraz ki dawa bantta hai
khulus-o-mohabbat wafa bantta hai
masihai par us ki qurban jao
maraz dene wala shifa bantta hai


na dekha hai jis ne kabhi apna chehra
wahi shahr mein aaina bantta hai
samajhta hai khud ko jo bahlol-e-dana
chalo chal ke dekhen wo kya bantta hai


yahan kaun kya kis ko deta hai har ek
muqaddar ka likkha hua bantta hai
khuda jis ko taufiq de is jahan mein
wahi dard-e-dil ki dawa bantta hai


'wali' us ki jadu-bayani na puchho
wo khwab-e-haqiqat-numa bantta hai
61138 viewsghazalEnglish