koi harf-e-nafi na kaam aaya kitni sachchi thi dosti apni thokaren kha kar ke surakh-ru thahra ek dua hai ye zindagi apni ab kahan hai koi harif apna khub darti hai be-kasi apni kaise tarikh ko bhula dalun khun mein dubi hai ye sadi apni kuchh na khata hun kuchh na pita hun bhuki soti hai muflisi apni khali botal taka hi karti hai kitni pyasi hai mai-kashi apni shayad apna khuda tarash liya ab kahan hai wo bandagi apni shayad 'iqbaal' se dari hogi pahle sarshaar thi khudi apni sare alfaz sath chhod gae sada kaghaz hai shairi apni karwan chhod ke wo aaya hai ek musafir hai rahbari apni