koi hasin manzar aankhon se jab ojhal ho jaega mujh ko pagal kahne wala khud hi pagal ho jaega palkon pe us ki jale bujhenge jugnu jab meri yaadon ke kamre mein hongi barsaten ghar jangal ho jaega jis din us ki zulfen us ke shanon par khul jaengi us din sharm se pani pani khud baadal ho jaega jab bhi wo pakiza daman aa jaega hath mere aankhon ka ye mela pani ganga-jal ho jaega us ki yaaden us ki baaten us ki wafaen us ka pyar kis ko khabar thi jina mushkil ek ek pal ho jaega mat ghabra ai pyase dariya suraj aane wala hai barf pahadon se pighli to jal hi jal ho jaega