koi hindu koi muslim koi isai hai sab ne insan na banne ki qasam khai hai itni khun-khar na thin pahle ibaadat-gahen ye aqide hain ki insan ki tanhai hai tin chauthai se zaid hain jo aabaadi mein un ke hi waste har bhuk hai mahngai hai dekhe kab talak baqi rahe saj-dhaj us ki aaj jis chehra se taswir utarwai hai ab nazar aata nahin kuchh bhi dukanon ke siwa ab na baadal hain na chidiyan hain na purwai hai