koi hua na ru-kash tak meri chashm-e-tar se kya kya na abr aa kar yan zor zor barse wahshat se meri yaro khatir na jama rakhiyo phir aawe ya na aawe nau pur utha jo ghar se ab jun sarishk un se phirne ki chashm mat rakh jo khak mein mile hain gir kar teri nazar se didar khwah us ke kam hon to shor kam ho har subh ek qayamat uthti hai us ke dar se dagh ek ho jila bhi khun ek ho baha bhi ab bahs kya hai dil se kya guftugu jigar se dil kis tarah na khinchen ashaar rekhte ke behtar kya hai main ne us aib ko hunar se anjam-e-kar bulbul dekha hum apni aankhon aawara the chaman mein do chaar tute par se be-taqati ne dil ki aakhir ko mar rakha aafat hamare ji ki aai hamare ghar se dilkash ye manzil aakhir dekha to aah nikli sab yar ja chuke the aae jo hum safar se aawara 'mir' shayad wan khak ho gaya hai yak gard uth chale hai gah us ki rahguzar se