koi jugnu ya sitara ya qamar kuchh to bana

By sonia-aks-sonamJanuary 5, 2024
koi jugnu ya sitara ya qamar kuchh to bana
raat hone wali hai tarik-tar kuchh to bana
dukh ka baadal hi sahi gham ka samundar hi sahi
kam se kam is bar ta-hadd-e-nazar kuchh to bana


dur hai manzil bahut aur rasta sunsan hai
dil lagane ke liye ai ham-safar kuchh to bana
ai nigah-e-naz tu jalwe dikha apne kabhi
sine mein nasur ya zakhm-e-jigar kuchh to bana


warna 'sonam' ek din ye raegan ho jaega
tu kabhi to aazma apna hunar kuchh to bana
93310 viewsghazalEnglish