koi kar sakta hai yaro jaisa main ne kaam kiya yar ke zimme di kar neki apne tain bad-nam kiya aankhon se sahlaya kiya main talwe us ke waqt-e-khwab itni khidmat dekh meri ghar ghair ke ja aaram kiya kaun si shab be-nala-o-zari main ne nahin ki us bin subh kaun sa din be-ranj-o-musibat mein na ro ro sham kiya kuchh na chala bas us pe azizo apni hi main jaan pe khela aakhir dard-e-hijr ne us ke mera kaam tamam kiya shab kaha main ne us se mera dil zulf ka teri banda hai kyun use tu ne qaidi-e-dam-e-sumbul-e-mushkin-fam kiya kafi tha us ki bastagi ko to tar-e-kakul-e-rishta-e-zulf kar ke asir-e-halqa-e-gesu kyun use be-aram kiya chin-ba-jabin ho bola dur ho tujh ko hai sauda diwane chhutne ka kyun us ke tu ne dil mein khayal-e-kham kiya awwal murgh rishta bapa sa tha paband-e-tar-e-zulf halqa-e-gesu mein la us ko aakhir said-e-dam kiya aarzu yak bosa ki rakhta dil mein 'jahandar' ai pyare lal-e-lab-e-shirin se tum ne par na kabhu inam kiya