koi KHush tha to koi ro raha tha

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
koi khush tha to koi ro raha tha
juda hone ka apna hi maza tha
nazar ki ehtiyaten kaam aain
wo mera dekhna tak dekhta tha


sitam ye tha ki main us ka badal bhi
usi se milta-julta dhundhta tha
wahi raftar thi qadmon ki lekin
wo ab mere mukhalif chal raha tha


labon tak haal-e-dil wo bhi na laya
meri qadron ko wo pahchanta tha
36369 viewsghazalEnglish