koi le kar KHabar nahin aata

koi le kar khabar nahin aata
jo gaya nama-bar nahin aata

chand kis ja nazar nahin aata
yar kyun mere ghar nahin aata

dam mohabbat ka bhar nahin aata
raaz ifsha to kar nahin aata

ishq kya jaane zahid-e-be-maghz
dhang ye umr-bhar nahin aata

pandito pattre mein dekho to
kyun mera nama-bar nahin aata

lala har sal rang lata hai
rang-e-dagh-e-jigar nahin aata

wo to kahte hain sabr kar chande
aur yahan sabr kar nahin aata

kabhi puchho lipat ke sine se
ab to munh ko jigar nahin aata

shisha-e-dil mein o pari-paikar
hai pari to utar nahin aata

hum bhi baaten banaya karte hain
sher kahna magar nahin aata

ghuncha gul ho ke un se kahta hai
kis ka munh ko jigar nahin aata

rang laya nahin abhi rona
abhi lakht-e-jigar nahin aata

naseha kyun na ho khayal un ka
khwab to raat-bhar nahin aata

umr-bhar ek tumhin ko pyar kiya
dil kahin is qadar nahin aata

mere marne ki kya nahin hai khabar
kyun tu ai be-khabar nahin aata

kyun bigadiye bane bane na bane
khair bande ko shar nahin aata

zabh mujh ko anile-pan ne kiya
qatl qatil ko kar nahin aata

kucha-e-yar hai ki jannat hai
jo gaya phir ke ghar nahin aata

yar kothe pe apne chadhta hai
mah falak se utar nahin aata

ji na chahe jise main kya chahun
mujh ko be-maut mar nahin aata

dekh kar un ko jis ko dekhe 'mehr'
koi itna nazar nahin aata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close