koi mare to mar Dale mujhe
By aarif-nazeerJuly 12, 2024
koi mare to mar dale mujhe
is kharabe se to nikale mujhe
'izzat-e-nafs meri bach jae
mujh ko aawaz de bula le mujhe
justuju thi ki tere lab padhta
tu padhati rahi risale mujhe
bas andhere se dosti kar li
jab darane lage ujale mujhe
ye sitam hai mere khulus ke sath
kar ke madhosh phir sanbhaale mujhe
wo haqiqat-pasand ladki bhi
kar gai khwab ke hawale mujhe
pur-sukun nind ud gai hai meri
ai meri man gale laga le mujhe
bap ke ba'd mushkilen dekhin
zarre lagne lage himale mujhe
kaun rad kar sakega mere git
tu jo ek bar gunguna le mujhe
har ghadi yaad aate hain 'arif'
hae wo nain kale kale mujhe
is kharabe se to nikale mujhe
'izzat-e-nafs meri bach jae
mujh ko aawaz de bula le mujhe
justuju thi ki tere lab padhta
tu padhati rahi risale mujhe
bas andhere se dosti kar li
jab darane lage ujale mujhe
ye sitam hai mere khulus ke sath
kar ke madhosh phir sanbhaale mujhe
wo haqiqat-pasand ladki bhi
kar gai khwab ke hawale mujhe
pur-sukun nind ud gai hai meri
ai meri man gale laga le mujhe
bap ke ba'd mushkilen dekhin
zarre lagne lage himale mujhe
kaun rad kar sakega mere git
tu jo ek bar gunguna le mujhe
har ghadi yaad aate hain 'arif'
hae wo nain kale kale mujhe
55162 viewsghazal • English